top of page
Writer's pictureNiedhie

A new year gift to you!

Updated: Dec 23, 2022


Found an old manuscript containing some of my poems I had given to special friends at different points of time in the past. Before nostalgia takes over, let me publish here one of them as a special new year gift to all of you! Let us start this year with a spirit which this poetry conveys!

Jeevan hamesha khushiyan to nahi lata,

Insaan hamesha sab kuchh nahi pata,

Sookh aur dookh samay ke chakra ki tarah hai,

Shanti aur ashanti dono hi har jagah hai.


Kabhi utaar to kabhi chadao-

Kabhi sahaj to kabhi uljhan bhare padao,

Jaise din aur raat, jeena aur marna.

Virah ke dard ke baad milan ki hai bela,

Kabhi hai log saath to kabhi chalna pade akela.

Pehle hai jhagra phir dher saara pyar,

Kabhi hai jeet to kabhi hai haar-

To bhai phir kis baat ka malhaar,

Jiyo zindagi chak do gam yaar.


Pata nahi kal ho na ho,

Pareshaniya to hai par phir bhi tum hanso.

Mana ki tumhara gam kuchh nahi hai kam-

Par lakho logo se phir bhi behtar hai hum,

Unke liye to har ek subah aasha ki nayi kiran hai

Aane wala woh din hi unka jeevan hai.

Shaam hote hi anischittayen gher leti hai unhe,

Agle din ki chintaayen woh jaaker kahe kinhe.


Prem aur vishwaas ki rah se tum na dagmagao,

Ishwar ke prati sachchi bhakti tum mann mein jagao.

Dhyan rakhna ki tum kabhi aham mein na doob jao,

Sahridayta aur vinamrata tum apne mein lao.

Apne aap par rakkho tum poori aashtha,

Sweang hi dikh jayega tumhe woh jagmagata hua raasta!!

1 view0 comments

Related Posts

See All

Comments


bottom of page