Utho Bharat, jaago dosto, Kis baat ka intezaar hai – Yudh ki bigul bazi dekho, Hamari vinamrata par kara prahar hai.
Sahanshilta ki seema tuti, Bhaichare ka bana bhari majaak, Bekusuro ki jaane gayi, Shaan hui jal kar raakh.
Ab agar humne saha, To sahanshilta ka dhong hai, Jurm karna jis tarah galat hai, Jurm sehna bhi ek bhayanak rog hai.
Aur phir kyun sahe hum kisi ka aatank, Kya humme kuchh kami hai, Prashn yahan ab aman ka nahi, Un aankhon ka hai jinme nami hai.
Chalo sab milkar kadam badhayein- Yudh na sahi to satarki to dikhaye, Hans rahe hai woh hamari nakami par, Aao swabhimaan kya hai hum unhe bataye!
コメント